﷽
ہندوستان کے اہل سنت کو نصیحت – “جمعیت اہل حدیث سے جدا رہیں”
🎙️الشیخ العلامہ یحییٰ بن علی الحجوری حفظہ اللہ نے فرمایا:
“اہل سنت کو چاہیئےکہ وہ (جمعیت) اہل حدیث ہند سے جدا ہو کر اپنے خاص مدرسے بنائیں جن میں وہ اللہ کی کتاب اور اس کے رسول ﷺ کی سنت کی تعلیم دیں کیوں کہ وہ (جمعیت والے) بلا شبہ ”تراثی“ ہیں (یعنی جمعیت احیاء التراث والے) اور جو برطانیہ اور ہندوستان وغیرہ میں ان کی حالت کو بہترجانتے ہیں ، انہیں اس بات میں کوئی شک نہیں ہوگا۔
ان کا حال یوں ہے کہ یہ اپنے لوگوں کی تربیت اس جمعیت کے لئے تحزّب پر کرتے ہیں چنانچہ ایسے نوجوان ظاہر ہوتے ہیں جو اس منہج کے سوا کچھ اورنہیں پہچانتے جو کہ انتخابات،مظاہرات (اگر ان میں پائی جاتی ہو) کے تعلق سے سلف رضوان اللہ علیہم کے راستے سے مخالف ہے۔اسی طرح بیعت اور جاندار کی تصویر کے تعلق سےبھی۔
حقیقت میں اُنہیں ان کی دعوت پر اعتماد نہیں کرنی چاہیئے،یہ اپنے لوگوں کو ایسے کام کرنے والے حزبیوں کے ساتھ لچکداری کا عادی بناتے ہیں۔ *ہمیں یہ بات پہنچی ہے کہ وہ ڈاکٹرذاکر نائیک کے ساتھ اجتماع کرتے ہیں جو کے اخوانی ہےاور وہ ان کو سپورٹ کرتے ہیں پس ان کے یہاں تمیز نہیں ہے (یعنی وہ گمراہ لوگوں سے جدا نہیں ہوتے)۔ ان کی دعوت حزبیوں کے ساتھ انتہائی نرمیت پر مبنی ہے اور ہمیں بتایا گیا ہے کہ وہ فلمی لوگوں اور کافروں کو اپنے اسٹیج پر بلاتے ہیں۔ اللہ ان کی اصلاح کرے۔ یعنی کہ ان کی دعوت میں تمیز نہیں ہے اور نہ سلف کے طریقے پر ہے جو کہ سلف کے طریقے سے واضح ہوتا ہے (وہ ایسا نہیں کیا کرتے تھے)۔
پس وہاں کے اہل سنت پر ضروری ہے کہ وہ تمیز اختیار کریں (ان لوگوں سے جدا رہیں) اور اس قسم کی تنازلات (کمپرومائز ) کے بغیر صحیح دعوت کو قائم کریں۔ ہندوستان میں سلفی دعوت کے بارے میں یہ ڈر ہے کہ سب سے زیادہ اسے کمزورکرکے اور اس کے خلاف کھڑے مسلمان ہی ہوں گےاور جہاں تک کہ اُن لوگوں (کافروں) کی بات ہے تو وہ بس دنیا میں مگن ہیں لیکن شاید اہل حدیث اور ان کے جیسے دوسرے لوگ سلفیوں کے سب سے زیادہ مخالفت کرنے والے ہیں جیسا کہ احیاء تراث والے لوگوں کے بارے میں معلوم ہےکہ وہ ان کی تشویہ کیا کرتے ہیں (شکل بگاڑتے ہیں)۔ ہندوستان کے باہر سے ان کے دھوکے میں آکر سپورٹ کرنے والے لوگ بھی ہیں جنہیں یہ اہل حدیث دھوکا دیکر کہتے ہیں کہ ”یہ لوگ ایکسٹریم ہیں ، متشدد ہیں“ وغیرہ جیسی تنقید کرتے ہیں تو ایسی باتوں پر انہیں صبر کرنا چاہیئے۔
اہل سنت علم حاصل کیا کرتے ہیں یہ کتنا اچھا کام ہے تو وہ علم نافع حاصل کرنے پر محنت کریں اور اُن لوگوں کی حرکتوں کی پرواہ نہ کریں چنانچہ کسی سنی سلفی پر اللہ تعالیٰ اگرعلم نافع کے حصول کا کرم فرماتے ہیں تو اس کے لئےدوسری باتیں(مشکلیں) بھی آسان کریں گے اور اس طرح ان کی دعوت قائم ہوگی ان شاء اللہ ،چاہے وہاں یا کسی اور جگہ۔کیوں کہ ہر ملک میں مسلمانوں کو علم نافع اور عمل صالح کی حاجت ہے۔ اللہ تعالیٰ سے توفیق کی گزارش ہے۔” اھ
تاریخ: 1429 ذو الحجہ 29 (28 Dec 2008)
تفریغ: الشیخ نواس الہندی حفظہ اللہ
ترجمہ: ابو محمد نظام الدین وفقہ اللہ
https://t.me/dawatusalafiyyahurdu/1431
In Roman Urdu:
﷽
Hindustan ke ahlesunnat ko naseehat – ” Jamiat ahle hadees se juda rahen”
🎙️ Shaykh Allamah Yahya Ibn Ali Al-Hajoori hafidhahullah ne farmaya :
“Ahle sunnat ko chahiye ke woh ( jamiat ) ahal hadees hind se juda ho kar apne khaas madrasay banayen jin mein woh Allah ki kitaab aur is ke rasool ﷺ ki sunnat ki taleem den kyun ke woh (jamiat walay) bilaa shuba “Turathi” hain (yani jamiat ihya turath walay) aur jo britain aur hindustan waghera mein un ki haalat ko bahar jante hain, inhen is baat mein koi shak nahi hoga. Un ka haal yun hai ke yeh apne logon ki tarbiyat is jamiat ke liye tahazzub par karte hain chunancha aisay nojawan zahir hotay hain jo is manhaj ke siwa kuch aur nahin pehchante jo ke intikhabaat, muzhaarihaat ( agar un mein payi jati ho ) ke talluq se salaf ridhwanullah alayhim ke rastay se mukhalif hai. Isi terhan bayth aur jandaar ki tasweer ke talluq se bhi. Haqeeqath mein unhen un ki dawat par itemaad nahi karni chahiye, yeh apne logon ko aisay kaam karne walay hizbiyo ke sath lachakdaari ka aadi banatay hain. hamein yeh baat pohanchi hai ke woh Dr Zakir Naik ke sath ijtima karte hain jo ke Ikhwaani hai aur woh un ko support karte hain pas un ke yahan tameez nahi hai ( yani woh gumraah logon se judda nahi hotay ). Un ki dawat hizbiyo ke sath intehai narmiyat par mabni hai aur hamein bataya gaya hai ke woh filmi logon aur kafiroon ko apne stage par bulatay hain. Allah un ki islaah kere. Yani ke un ki dawat mein tameez nahi hai aur nah salaf ke tareeqay par hai jo ke salaf ke tareeqay se wazeh hota hai (woh aisa nahi kya karte thay). Pas wahan ke ahle sunnat par zaroori hai ke woh tamayyuz ikhtiyar karen (un logon se judda rahen) aur is qisam ki tanaazulaat (compromise) ke bagair sahih dawat ko qaim karen. Hindustan mein Salafi dawat ke baray mein yeh dar hai ke sab se ziyada usay kamzoor karke aur is ke khilaaf khadey musalman hi hon ge aur jahan tak ke unn logon (kafiroon) ki baat hai to woh bas duniya mein magan hain lekin shayad ahle hadees aur un ke jaisay dosray log salafiyo ke sab se ziyada mukhalfat karne walay hain jaisa ke ihya turath walay logon ke baray mein maloom hai ke woh un ki tashweeh kia karte hain (shakal bighaartay hain). Hindustan ke bahar se un ke dhokay mein aakar support karne walay log bhi hain jinhein yeh ahal hadees dhoka day kar kehte hain ke “Yeh log extreme hain, mutashaddid hain” waghera jaisi tanqeed karte hain to aisi baaton par inhen sabr karna chahiye. Ahle sunnat ilm haasil kia karte hain yeh kitna acha kaam hai to woh ilm nafi haasil karne par mehnat karen aur unn logon ki harkato ki parwah nah karen chunancha kisi sunni salafi par Allah taala agar ilm nafi ke husool ka karam farmatay hain to is ke liye doosri baatein (mushkilen) bhi aasaan karen ge aur is tarha un ki dawat qaim hogi In sha Allah, chahay wahan ya kisi aur jagah. kyun ke har malik mein musalmanoon ko ilm nafea aur amal Saleh ki haajat hai. Allah taala se tofeq ki guzarish hai.”
Tarikh: 29 Dhul Hijjah 1429 (28 Dec 2008)
Tafreeg: Shaykh Nawas Al Hindi hafidhahullah
Tarjuma: Abu Muhammad Nezam Uddin waffaqahhullah
https://t.me/dawatusalafiyyahurdu/1431